[Verse 1]
Ho, ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise khilta gulaab, jaise shayar ka khwaab
Jaise ujali kiran, jaise ban mein hiran
Jaise chandni raat, jaise narmi baat
Jaise mandir mein ho ek jalta diya
Ho, ek ladki ko dekha to aisa laga
[Verse 2]
Ho, ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise subah ka roop, jaise sardi ki dhoop
Jaise veena ki taan, jaise rangon ki jaan
Jaise balkhaayen bel, jaise lehron ka khel
Jaise khushboo liye aaye thandi hawa
Ho, ek ladki ko dekha to aisa laga
[Verse 3]
Ho, ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise naachta moar, jaise resham ki dor
Jaise pariyon ka raag, jaise sandal ki aag
Jaise solah shringar, jaise ras ki phuhaar
Jaise aahista aahista badhta nasha
Ho, ek ladki ko dekha to aisa laga
[Outro]
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Comparte Ek Ladki Ko Dekha! con tus amigos.
Que tal te parece Ek Ladki Ko Dekha de Kumar Sanu?